| AJ TUMHARI SAALGIRAH HAI |
| AJ TUMHARI SAALGIRAH HAI Jalti shamein roshan chehrey kamni lariyaan nazuk sehray nargees,bella,motiya,lala johi,champa aur banafsha her koi shaad hai naa aaj tumhari saalgirah hai dekho hum ko yaad hai naa hum to sirf duago log khaak o mehar ka kia sanjoog pass rahein ya door rahein whayshat say ranjoor rahein mehfil to abad hai naa aaj tumhari saalgirah hai dekho hum ko yaad hai na tarak-e-taaluq khoob kia dil per kari war saha noch di konpal chahat ki aas na rakhi rahat ki dil meho-e-fariyaad hai naa aaj tumhari saalgirah hai dekho hum ko yaad hai naa kaise kaise khuwaab booney rang brangey khuwaab chuney saalgirah ka cake katey ga haath pay un ka haath rahe ga khuwaab her aik barbaad hai naa aaj tumhari saalgirah hai dekho hum ko yaad hai na. |

