| Mere siwa sar-e-maqtal muqaam kis ka hai? |
| Mere
siwa sar-e-maqtal muqaam kis ka hai? Kaho kay ab lab-e-qatil pe naam kis ka hai ? Yeh takht-o-taaj-o-qaba sab inhey mubarak ho Magar yeh nok-e-sanaa ehteraam kis ka hai? Hamari lash pe dhoondo na unglion kay nishaan Humein khabar hay azeezo! Yeh kaam kis ka hai Fanaa kay haanptey jhonkhey Hawa se poochtey hain Jabeen-e-waqt pe naqsh-e-dawaanm kis ka hai? Tumhari baat tu hurf-e-ghalat thi, mitt bhi gayii Utar Woh mut\'mayeen thy bohut qatal kar kay Mohsin Magar yeh zikr-e-wafa subah, shaam kis ka hai? |

