Ankhon main koi khawab sajaya na jayega
Ankhon main koi khawab sajaya na jayega
Chahat ka bojh humse uthaya na jayega

Jab pehli baar app ne thaama tha mera hath
Lamha woh saari umar bhulaya na jayega

Chalni sa ho gaya hai dil-zaar dekh lo
Ab to dosti ka hath bhi barhaya na jayega

Hum ne yeh soch kar unhain tohfa nahi dia
Kangan ka bojh unse uthaya na jayega

Aawaz hum ne deni hai har ek maqaam par
Go, jante hain app se aaya na jayega

Kaash! chand doob gaya jane kis ghari
Lagta hai chat se chand ka saya na jayega
03453400042
Akash