Zameen par hai magar aasmaan jesi hai

Zameen par hai magar aasmaan jesi hai
Woh mom si larki chattan jesi hai

Mere haroof bhi jhootay hain, mere jazbay bhi
Meri kahani bhi saaray jahan jesi hai

Yeh shaam mil ke bicharne ka ishaara hai
Yeh raat hijar ke kaalay nishaan jesi hai

Main apne saath hon ya koi doosra hai Akash

Yaqeen ki yeh ghari bhi gumaan jesi hai

03453400042

Akash