Woh aakhri lamhon main mujhe maang raha hai

Woh aakhri lamhon main mujhe maang raha hai
Yeh waqt hai aisa ke guzar kar nahi sakte

Khud hath se apne usay khona hi pare ga
Yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakte

Yun apni nigahon ko chura lete hain tujh se
Ke dil ke iraadon ki khabar kar nahi sakte

Tum khawab jalate rahe hum aaj tak chup thay
Ab dil ke yun jalne par sabar kar nahi sakte

Yeh aankh andheron main hui piyas ka sehra
Is noor ke darya par nazar kar nahi sakte
03453400042
Akash