kyon cheen liyaa bachpan.

kyon cheen liyaa bachpan...{child labour}

poochtey hain yeh masoom chehrey,
iss duniya sey,ek sawaal baar-baar,
kyon cheen liya bachpan?.....

jinn haathoin mein honee chahiye thee kalam,
unn haathoin ko kyon dey diye auzaar
kyon daal diyaa nazuk sey kandhoin parr,
kayee jeevan, chalaaney ka bhaar,
kyon cheen liyaa bachpan?......
poochtey hai yeh masoom chehrey....

jinn aankhoin mein honeey chahiye theey,
bhavishya ke ujjwal sapney,
unn aankhoin ko kyon dey diye aansoo itney,
kyon tod diye bananey.... sey pehley yeh sapney,
kyon cheen liyaa bachpan?
poochtey hai yeh masoom chehrey.....


jinn hothoin parr honee chahiye thee hansi,
unn hothoin ko kyon de dee bebasi,
kyon dey dee maathey parr shikan,
kyon cheen lee inn hothoin ki muskaan,
kyon cheen liya bachpan?....
poochtey hai yeh masoom bachhey
iss duniya sey ek sawaal baar-baar......

2 Ajnabi dost
03132174713
JiNNU