BABA GURIYA LAA DO NA
EK BACHI AAJ PHIR
baithi hay woh intezaar main saipahar se maa kab aayenge baba pochay betabi se khilay masoom chehra baba ki dastak se daur ker lipat jaaye baba ki taangoon se masoom andaz main kaha apnay baba se
BABA GURIYA LAA DO NA
baba usko gaud main utha kar muskarata hai bari mohabbat se beti ko apni bosa deta hai seenay se apnay chimta ke woh yeh kehta hai aaj bohat thak gya beta or kal pe taal deta hai sun k beti ki yeh fariyaad woh aah bharta hai
BABA GURIYA LAA DO NA
baad iss ke jaye woh khailnay apni sehliyon se sajaaye doosroon ki guriya ko iss umeed se banaongii dulhan guriya ko apni kal piyar se karay widaayi guriya ki woh num ankhoon se aur mun mun main woh kahe bari hasrat se
BABA GURIYA LAA DO NA
aa ke ghar baithe maa ki aagosh main laad se maa khaanaa khilaaye uss ko baray piyar se kuch sooch ker munh phairay woh khanay se khaongi khana saath guriya ke kahai maa se jaa k phir masoom si zid karay apnay baba se
BABA GURIYA LAA DO NA
dekh na paaye beti aansoon ko chupata hai dil k andar hi apni ahaon ka gala dabata hai or muskarati ankhoon se beti ko manata hai apnay hathon se phir usko khana khilata hai kuch yonhi beti ko iss zid se chup karata hai
BABA GURIYA LAA DO NA
baba uss ka jab raat ko soonay jaata hai beti ko woh apnay seenay pe sulaata hai bund ankhoon se apne kal ko sochta hai anginat zarooratoon main woh khoota hai soch ke beti ki yeh fariyaad woh roota hai
BABA GURIYA LAA DO NA
bas ab yeh qalam bhi haara chuka iss gurbat se hay lub-e-Aman pe bas yeh ek dua ALLAH se na rahaIn hasratain zindagi main nayi subah se yeh bachi khaile sang sehliyon ke apni guriya se phir kabhi yeh bachi kah na sakay apnai baba se
BABA GURIYA LAA DO NA BABA GURIYA LAA DO NA
2 Ajnabi dost 03132174713 |