YE RISHTA NA TODO
YE RISHTA NA TODO

Ye rishta agar toota tau naa baat raheygi
Naa tarey marey payaar ki soghaat raheygi

Husrut raheygi naa koi aarzoo tumhein
Bin baadlon k aankh mein barsaat raheygi

Khowabon mein yadein tujh ko rolaaingi isqadar
To her ghadi hijr mein baytaab raheygi

Chehray pey rung naya laayega izteraab
Khoshyun mein bhi tulkhi ke baraat raheygi

Her shay azaab bun k bujha daygi her diya
Mein abaad rahonga naa tou abaad raheygi

Ahsaas jis lumhey sataayega beyhisaab
Naa din ye raheingey naa raat raheygi

Oon faaslon sey Shaukat laotogay kis tarhan
Jub baykarari dil ki tarey saath raheygi.