Wo guzarta jo meri rah se
Wo guzarta jo meri rah se
to main rah k har qadam par
apne anchal k sitare tank detti
apni mang k sare arman
raste main saja detti
is k har qadam se
apni dharkan bhand detti
apne jeevan k har nanni khushi
ise de kar is k sare gham
apne daman main bhar letti
lekin is ka kia kare k
mere is dil ka
mere is musafir ka
safar dusra tha
rah ghuzar dusra tha
hum safar dusra tha...