KAsh Mein teri ankh ka ansoo hota
KAsh Mein teri ankh ka ansoo hota
kam say kam tujh mein rehna to naseeb hota
lakh bhalay loge kehtay kay wo teray Qareeb hain
magar mein teri rooh mein mojood hota
Youn Machal ker girta mein teri ankh say
bigho jata mein teray daman ko
girati jab tu mujhay apni ankh say
mujhay teray rukhsaar ka bosa naseeb hota
tarapti jab tu kisi ki yaad mein
teri mohabbat ka gawah hota
ek hasrat hi rahi dil mein
kash mein teri ankh ka ansoo hota