| kabhi kabhi dil ye chahta hai, |
| kabhi kabhi dil ye chahta hai, tumhari shaamon ka haal poochon, sawal poochoon, kai fard e fikra main kaisi guzri, yunhi kabhi mera naam aya, tmharai hontin pai ek pul ko, meri muhabbat ki yaad mehki?, kbhi tumharai raston main, kabhi kisi din tumhari subh kai dar pai jaagi sadaaey dastak, kbhi ibadat ki kaifiyat main tmhe mera bhi gumaan guzra, tumharai sehn e duaa sai mera bhi daihaan guzra, kbhi tumharai badan pai bhi shab e azaab bun kar teher gaee thi, kbhi kbhi dil ye chahta hai, sawaal poochoon, magar mai chup hun, hamarai darmiyaan ye jo diwaar e ajnabiyyat hai, isi main tauqeer e hurf o lub hai, yahin pai turk o talab ki hud hai..... |

