| In jheel si gehri ankhon main |
| In jheel si gehri ankhon main EK shaam kahin abaad to ho Iss jheel kinaary pal do pal Ek khuab ka neela phool khily Woh phool baha deyn lehron main Ek rooz kabhi hum shaam dhaaly Uss phool k behty rangon main Jis waqat larazta chaand chaly Uss waqat kahin in ankhon main Uss bissry pal ki yaad to ho In jheel si gehri ankhon main Ek shaam kahin abaad to ho Phir chahy umer samander ki Her mooj pryshan ho jay Phir chahy aankh dareechy sy Her khuab guryzan ho jay Phir chahy phool k chehry ka Her dard numayan ho jay Iss jheel kinaary pal do pal Woh roop nagar ejaad to ho Din raat k iss aiiny main Woh akss kabhi azaad to ho In jheel si gehri aankhon main Ek shaam kahin abaad to ho. |

